Monday, October 8, 2012

Khile gulaab ka murjhana

Khile gulaab ka murjhana bura lagta hai,
Mohabbat ka yun mar jana bura lagta hai,,

Fasle mitana achchhi baat hai lekin,
Kisi aur ka unke kareeb jana bura lagta hai,

yun toh chalti hai hawa roz fizaon mein,
par uska unko chhoo kar guzar jana bura lagta hai,,