Monday, October 8, 2012

Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha

Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur woh mera na tha

woh ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar suu
main usse mahsus kar saktaa tha chhu saktaa na tha

raat bhar us ki aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha