Tuesday, May 8, 2012

Zid Na Kar.....!!

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,

Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,